Hazrat Imaam Abu Haneefa Nomaan bin Saabit rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Imaam e aazam, Siraaj-ul-Ummah.
*******************
Aapki wilaadat 80 Hijri (5 September 699 A.D.) me Kufa (Iraq) me hui.
Aap ke waalid ka naam Saabit bin Zuta hai.
Aap ke daada Fars (Iran) se Arab aa gaye the
***********************
Ek baar aap apni waalida ko kuchh paighaam pahunchane ke liye jaa rahe the.
Tab aap Kufa ke mashhoor aalim Hazrat Sha’bi rahmatullahi alaihi ke ghar ke paas se guzre. Hazrat Sha’bi ne aap ko apna shagird samajhkar kaha ‘Apni class me jaakar padho.’ To aap ne kaha ‘Main to madrase me padhta nahi hu.’
Tab Hazrat Sha’bi ne farmaaya ki ‘Mujhe tum behad zaheen lagte ho. Tumhe kisi aalim ya buzurg ki sohbat me rehna chaahiye.
Hazrat Sha’bi ki baat maankar aap Hazrat Hammad ibn Abi Sulaimaan rahmatullāhi alaihi ki sohbat me rehkar Ilme deen sikhne lage.
Aap ne Hazrat Imaam Sha’bi Kufi aur Hazrat Imaam Hammaad se ahadees ka aur Hazrate Hammaad se Fiqh ka ilm haasil kiya.
In ke ilaawa aap ne Hazrat Aamir Ibn Shurahbeel,
Alqama ibn Marthad,
Ziyaad ibn Ilaqa,
Adi ibn Saabit,
Qataada Basri,
Muhammed ibn Munkadir Madni, Simaak ibn Harb,
Qais ibn Muslim Kufi aur Mansoor ibn Umar se bhi taaleem haasil ki.
Phir 102 Hijri me aap Madeena shareef gaye aur Imaam Jafar al-Saadiq rahmatullahi alaihi se ilme deen haasil karna shuru kiya.
Aap mash'hoor tabi'een me se hain.
Aap ne Sahaabi e Rasool Hazrat Anas ibne Maalik radi-Allāhu ta’ala anhu (Basra) aur dusre bahot saare ashaba bhi Ahadees sikhi.
Jin me Abdullāh ibn Abi Aufa (Kufa), Suhail Sa’ad (Madeena) Abu Tufail Aamir ibn Waasila (Makka) radiy-Allāhu ta’ala anhuma saamil hain.
***********************
Aap ki umr 9 saal thi tab ek yahudi ne majme me musalmano se 3 sawaal puchhe :
(1) ALLĀH agar hai to ALLĀH se pehle kaun tha?
(2) ALLĀH ka chehra kis taraf hai?
(3) ALLĀH ka waqt kya kar raha hai?
Majme me maujood bahot saare ulema yahudi ke sawaalo ke jawaab ke baare me sochte rahe. Tab aap khade hokar aage aaye aur yahudi se kaha ‘Main tumhare sawal ke jawaab deta hu.’
Aap ne us se kaha ‘Ginti gino.’ Yahudi bola ‘1, 2, 3, 4, 5, 6, ….., 10.’
Aap ne use rokkar kaha ‘Ab ulta gino.’ Wo bola ‘10, 9, 8,7, 6, ….., 2, 1.’
Aap ne kaha ‘Ye batao 1 se pehle kya aata hai?’ Wo bola ‘Kuchh bhi nahi.’
Aap ne farmaaya ‘Isi tarah ALLĀH se pehle koi bhi nahi.’
Phir aap ne ek chiraag liya aur us se puchha ‘Is chiraag ki roshni ka munh kis taraf hai?’ Us ne kaha ‘Chaaro taraf hai.’
Aap ne farmaaya ‘Isi tarah ALLĀH ka noor har taraf hai.’
Phir aap ne farmaaya ‘Tum jaanna chaahte ho ki ALLĀH is waqt kya kar raha hai to uska jawaab ye hai ki ALLĀH ek 9 saal ke bache se ek yahudi ko zaleel karwa raha hai.’
***********************
Aap ki Ibaadat, Taqwa, Husn e akhlaaq, Sakhaawat aur Imaandaari mash'hoor hai.
***********************
Aap ke waalid Kabul (Afghanistan) me kapdo ka kaarobar karte the.
Aap apne waalid ke saath us kaarobar me the.
Ek baar aap ke kaarinde (agent) ne kisi mulk me kisi ko reshmi kapda becha lekin kapde me kuch nuqs tha wo khariddaaro ko bataana bhul gaya.
Jab aap ko pata chala to aap bahot afsos karne lage kyun ki ye mumkin na tha ke aap us mulk me jaakar un khariddaaro ko un ki raqam waapas lauta sake.
Aap ne foran wo sab maal ghareebo ko khairaat kar dene ka hukm kiya.
***********************
Ek baar aap ne dekha ki ek shakhs ne aap ko dekhkar apna raasta badal diya.
Jab use puchhne par pata chala ki us ne aap se 10000 dirham ka qarz liya tha aur abhi us ke haalat aise the ki wo use ada nahi kar sakta tha.
Aap ne foran us ka qarz ma’af kar diya taake agli baar use aap ke saamne aane par sharminda na hona pade.
***********************
Aap ke saahabzaade Hazrate Hammaad ne ustaad se Surah al-Faatiha padhi to aap ne un ke
ustaad ko 1000 dirham nazraana pesh kiya.
Wo kehne lage ‘Huzoor! Maine kaun sa itna bada kaarnama sar anjaam diya hai ke
No comments:
Post a Comment