Sadqa e Fitr ka bayaan

Sadqa e Fitr ka bayaan :
♦♦♦♦♦♦♦♦

Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 254 :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَنْفِقُوا مِمَّا رَزَقْنَاكُمْ

Aye Eimaan walo, jo kuchh hum ne tumhe ata kiya hai us me se (ALLĀH ki raah me nek kaam me) kharch karo, is se pehle ke wo din aa jaaye jis me na koi khareed wa farokht hoga aur (munkiro ke liye) na koi dost hoga na sifaarish, aur ye kaafir hi zaalim hain.



Hadees e Nabawi :


(1) Bande ka Roza aasmaan wa zameen me rooka rehta hai jab tak wo Sadqa e Fitr ada na kare.
(Ibne Asaakir)

(2) Hazrate Ibne Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Sadqa e Fitr Aazaad Mard, Aurat, Bache aur Budhe har musalman par waajib hai ek saa’a Jav ya Khajoor.’ Aur hukm farmaaya ki ‘Namaaz e Eid ke liye nikalne se pehle us ko ada kiya jaaye.’
(Bukhari;
Muslim)


(3) Hazrate Asma bint Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anha se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Maal ko thaili me band karke na rakhna warna ALLĀH ta’ala bhi us ke khazaane me tumhare liye bandish laga dega. Jaha tak ho sake logo me khairaat taqseem kiya karo.’
(Sahih Bukhari, Jild -2, Hadees -1434)

******************
Sadqa e Fitr ke baare me chand khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Sadqa e Fitr har Musalman Aazaad Maalik e nisaab par (jis ki nisaab haajat e asliya ke ilaawa ho) Waajib hai.
Is me Aaqil, Baaligh aur Maal e naami hona ya’ni maal par saal guzarna shart nahi.


(2) Mard Maalik e nisaab par apni taraf se aur apne chhote bacho ki taraf se Sadqa e Fitr waajib hai, jab ke bacha khud Maalik e nisaab na ho.
Agar bacha Maalik e nisaab ho to us ka Sadqa e Fitr usi ke maal se diya jaaye.
Aur majnoon aulaad agarche baaligh ho us ka Sadqa e Fitr us ke baap par waajib hai jab ke Ghani na ho aur ghani ho to khud us ke maal se diya jaaye.
Aurat ya Baaligh Aulaad ka Sadqa e Fitr unke baghair izn (ijaazat) ada kar diya to ada ho gaya Ba-sharte ke Aulaad us ki Ayaal me ho ya’ni us ka Nafqa us ke zimme ho warna Aulaad ki taraf se bila ijaazat ada na hoga aur Aurat ne agar Shohar ka Sadqa e Fitr baghair hukm diya to ada na huwa.




(3) Agar baap na ho to baap ki jagah Daada par apne Yateem Faqeer Pote -poti ki taraf se us ka Sadqa e Fitr dena Waajib hai.
Maa par apne chhote Bachcho ki taraf se Sadqa e Fitr dena waajib nahi.




(4) Sadqa e Fitr Shakhs par waajib hai Maal par nahi. Lihaaza mar gaya to us ke maal se Ada nahi kiya jaayega. Haan, agar waariseen bataur ehsaan apni taraf se ada karen to ho sakta hai, un par koi jabr nahi aur agar wasiyat kar gaya hai to tihaai maal se zuroor ada kiya jaayega agarche waarasa ijaazat na den.



(5) Eid ke din Subah saadiq shuru hote hi Sadqa e Fitr waajib ho jaata hai.

Lihaaza Subah saadiq se pehle mar gaya ya faqeer ho gaya to us par Sadqa e Fitr waajib na hua.
Aur Subah saadiq shuru hone ke baad mara us par Sadqa e Fitr waajib hai.

Subah saadiq shuru hone ke baad jo Bacha paida hua ya jo Kaafir musalman hua ya jo Faqeer tha wo ghani hua us par Sadqa e Fitr waajib na hua.
Aur Subah saadiq shuru hone se pehle Bacha paida hua ya Kaafir musalman hua ya jo Faqeer tha wo ghani hua us par Sadqa e Fitr waajib hai.




(6) Sadqa e Fitr waajib hone ke liye Roza rakhna Shart nahi.
Agar kisi sharai Uzr ya’ni Safar, Marz (Beemaari), Budhaapa, Hamal aur bache ko doodh pilaana ki wajah se ya Ma’az ALLĀH Bila uzr Roza na rakha jab bhi Sadqa e Fitr waajib hai .




(7) Eid se pehle Sadqa e Fitr ada kar dena Sunnat hai.
Magar us ka waqt Umr bhar hai. Agar ada na kiya ho to zindagi me jab bhi ada karega ada ho jaaega. Us ki qaza nahi.
Aur ada na karne se Saakit na hoga. Baad me bhi ada karna hoga.




(8) Sadqa e Fitr ki Miqdaar :
Gehu ya us ka aata ya sattu - Nisf (aadha) saa’a (Ya’ani 2 kg 45 g),
Khajoor ya Munaqqa ya Jav ya us ka aata ya sattu - 1 Saa’a.
Gehu aur Jav mile hue ho aur Gehu ziyada hai to - Nisf Saa’a warna - 1 Saa’a.

Gehu aur Jav ke dene ke bajaay un ka Aata dena afzal h

Altaf Raja

Aap Sabhi Logo Ka Hamare Website Pe Sawagat Hai Yaha Par Aap Motivation Stories , Sayri , Letest Qoutes , Islamic Knowladge , Hindusm Knowladge , Apna Hindustan , Sabhi Prakar Ki Sayri , Etc . Padh Sakte Hai Ummid Hai Aap Logo Ko Hamare Articles Ache Lagte Honge Isko Aap Social Media Pe Share Karke Apne Dosto Ko Jarur Dikhaye.

No comments:

Post a Comment