Hazrat Shaikh Sayyed Imaad-ud-deen Abu Saaleh Abdullāh Nasr Qaadri al-Jeelaani rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Aap ki wilaadat 24 Rabi’ ul Awwal 562 Hijri (January 1187 A.D.) ko Baghdad me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Taaj-ud-deen Abdul Razzaaq bin Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jeelaani rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Bibi Taaj un nisa Ummul Karam hai.
Aap Hasani saadaat hain.
Aap ki waalida Aalima aur muttaqi thi.
*****************
Aap ne apne waalid e mohtaram Hazrat Sayyed Taaj-ud-deen Abdul Razzaaq Qaadri aur deegar masha'ikh se taalim haasil ki.
Aap ne kuchh arse tak apne chacha Hazrat Shaikh Sayyed Saif-ud-deen Abdul Wahhaab ki khidmat me rehkar bhi faiz haasil kiya.
Aap Qur’an, Hadees aur Fiqh ke maahir the.
Aap apne daada Huzoor Ghaus-e-aazam radiy-Allāhu anhu ke Madrasa ke mutawali the.
*****************
Aap bahot umda muqarrir the.
Aap Aarif, Muhaqeeq aur baahis (debater) the.
Aap hamesha shariat par amal karte the aur logo ko bhi is ki taalim dete the.
Aap khilaaf e shariat koi baat bardaasht nahi karte the.
8 Zil Qa’adah 622 Hijri (November 1225 A.D.) ko aap ko Qaazi-ul-Quzzat (Chief Justice) banaaya gaya.
Ek martaba aap Wazeer ke ghar par ulema ki mehfil me tashreef farma the. Itne me ek shakhs umda libaas waala aaya.
Sab log us ki ta’azeem ke liye khade hue. Aap us shakhs ko pehchaante nahi the is liye Aap bhi khade hue.
Phir aap ne kisi se puchha to pata chala ke wo Ibn Karam naami yahudi hai aur use ek ilaake ka govener banaaya gaya hai.
Aur logo me us ka bada ru-aab hai.
Aap ko ye baat ghair munaasib lagi ke Islaami hukoomat me ek yahudi ghair muslim ko governer ka ohada dekar itni izzat di jaaye.
Jab sab log waha se chale gaye us ke baad wo aap ke paas aakar baitha to aap ne foran use waha se khade hokar door chale jaane ke liye farmaaya.
Wo khaamoshi se waha se khada hua aur chala gaya.
Us ke chand din baad aap Daar ul khilaafat se milne waali tankhwaah lene ke liye jaa rahe the tab pehle aap Hazrat Imaam Ahmad bin Hanbal ke mazaar par gaye.
Aur phir jab tankhwaah lene ke liye gaye to sab ko tankhwaah di gai magar aap se kaha gaya ke ‘Aap ko Ibn Karam se tankhwaah leni hai.’
Aap Ibn Karam ke paas jaane ke bajaay aap apne ghar waapas aa gaye aur khud se kaha ‘Aye nafs! Humare deen ke siwa koi behtar deen nahi.
Agar tum in sab pareshaani se aazaad hona chaahte ho to is dunya ko chhod do.
Humare liye minaasib nahi ke hum kisi mushrik ke paas jaayen.
Agar hum shariat ke paaband rahenge to humara Rab humari zaroorat zaroor ko pura karega.’
Is tarah aap ne jab tak wo mushrik yahudi zinda tha us ke paas jaakar tankhwaah lena chhod diya aur jab wo yahudi mar gaya us ke baad hi apni tankhwaah lene ke liye gaye.
*****************
Aap hamesha saadgi pasand farmaate the.
Aap apne husn e akhlaaq aur narmi ke liye mash'hoor the.
*****************
Aap ke 5 saahabzaade hain :
(1) Sayyed Mohiy-ud-deen Abu Nasr Muhammad
(2) Sayyed Zaheer-ud-deen Abu Mas'ood Ahmad
(3) Sayyed Shahaab-ud-deen
(4) Sayyed Ali
(5) Sayyed Yaseen.
*****************
Aap Hazrat Shaikh Sayyed Taaj-ud-deen Abdul Razzaaq Qaadri al-Jeelaani rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa :
Sayyed Mohiy-ud-deen Abu Nasr Muhammad rahmatullāhi alaihi.
*****************
Aap ka wisaal 27 Rajab 632 Hijri (April 1235 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Sayyed Imaad-ud-deen Abu Saaleh Abdullāh Nasr Qaadri al-Jeelaani rahmatullāhi alaihi Qaadri al-Jeelaani rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
.
Baraye Karam Is Paigham Ko uu ko Share kijiye

بہت عمدہ پوسٹ ہے
ReplyDelete