Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi

Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi :

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-Irshaad, Siraaj-ul-Auliya, Aarif-e-Noori.

**********************


Aap ki wilaadat 19 Shawwal 1255 Hijri (26 December 1839 A.D.) ko Jumeraat ke din Marehra (Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Sayyed Zahoor Hasan bin Sayyed Shah Aal-e-Rasool Ahmadi Marehrawi rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Husaini saadat hain.

Aap ki umr 2 ½ saal ki thi tab aap ki waalida ka inteqaal hua.
Aap ke daada Shaah Aal-e-Rasool Ahmadi aur daadi Nisaar Faatima ne aap ki parwarish ki.
Aap ki umr 11 saal ki hui tab aap ke waalid ka inteqaal hua.

**********************
Aap ne Maulana Shaah Turaab Ali Lucknowi, Maulana Fazlullāh Jalesari, Maulana Noor Ahmad Badayuni, Maulana Muhammad Saeed Badauni, Maulana Abdul Qaadir Badayuni, Maulana Fazl-e-Rasool Badayuni, Maulana Ahmad Hasan Sufi Muradabadi aur Maulana Husain Shaah Bukhari se taaleem haasil ki.

Aap Quraan, Hadees, Tafseer, Fiqh aur Mantiq ke maahir hue.

**********************
12 Rabi’-ul-awwal 1267 Hijri (1851 A.D.) ko 12 saal ki umr me aap Hazrat Khaatim-ul-Akaabir Sayyed Shah Aal-e-Rasool rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.

1296 Hijri me Hazrat Shah Aal-e-Rasool rahmatullāhi alaihi ke wisaal ke baad aap Sajjaada nasheen bane.

*********************
Aap ne 6 saal ki umr se namaaz e tahajjud padhna shuru kiya.
Aap apna zyada waqt Ibaadat, Riyaazat aur Muraqaba me guzaarte.

**********************
Aap kasrat se khairaat karte rehte.
Jab aap kisi ghareeb ko phate puraane kapde me dekhte to us ke paas jaakar kehte ‘Kya tum mujhe apne kapde tohfe me dete ho?’ Agar wo maan jaata to aap us ke kapde lekar apne ghar par aate aur phir naye kapde laakar apni taraf se us ko dete.

**********************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Khwaja Ghareeb Nawaaz ke urs ke mauqe par logo ke ek giroh ne apni apni haajat ke liye istegaasah likhkar Khwaja tak pahunchane ke liye aap ko khat diye.
Aap ne apne khaadim Haafiz Nazrullāh ko wo tamaam khat Khwaja ke mazaar me junoob aur maghrib ke darmiyaan ke kone ki taraf le jaane ke liye farmaaya aur farmaaya ki ‘Waha tumhe ek shakhs milega jo tum se ye khato le lega.’

Maulana Ghulaam Shabbeer Badayuni ne aap ki guftagu sun li aur un ko Khwaja ke us kaasid se milne ki khwaahish hui. Unho ne chhupkar Hafiz Nazrullāh ka peechha kiya. Jab Hafiz Nazrullāh Noori miyan ki batai hui jagah par pahunche to wo jaldi se Haafiz Nazrullāh ke paas pahunch gaye.

Unho ne dekha ki Haafiz Nazrullāh ke haath khaali hain. Aap ko hairat hui ki koi shakhs nazar nahi aaya magar kuchh hi lamho me Haafiz Nazrullāh ke haath se wo tamaam khat gaayab kaise ho gaye. Unho ne Haafiz Nazrullāh se puchha ki ‘Un khato ka kya hua?’

Haafiz Nazrullāh ne jawaab diya ‘Aap kyun mazaaq kar rahe ho? Abhi kuchh hi lamho pehle aap ne mere haath se wo tamaam khat liye aur phir bhi puchh rahe hain ki un khato ka kya hua?’

Wo dono uljhan me pad gaye aur Hazrat Noori miyan ke paas aaye aur Haafiz Nazrullāh ne aap ko saari baat bataai. Aap ne farmaya ‘Kuchh jinnat ko Khwaja saahab ki baargaah me logo ki istegaasah pahunchane ke liye muqarrar kiye gaye hain.

Khwaja saahab ne logo ki ilteja jama karke pahunchane ki zimmedaari mujhe ata farmai hai. Aur wo qaasid mujhe pehchante hain aur jise main khat lekar bhejta hu use bhi pehchante hain. Aur usi qaasid (jinn) ne tumhare haath me se wo khat liye hain.’

Phir aap ne Maulana Ghulaam Shabbeer Badayuni se puchha ‘Kya aap bhi un ke saath waha gaye the?’ Unho ne kaha ‘Haan.’ Aap ne farmaaya ‘Aap un ki kaarwahi me khalel pahunchane waale the.

Is liye us qaasid ne aap ki shakl banaakar kuchh hi lamho me Haafiz Nazrullāh ke haath me se wo khat le liye.’
3 din baad wo tamaam khat aap ko waapas mile. Aur un me Khwaja saahab ke jawaab likhe hue the.

Aap ne farmaya ‘Ye mujh naacheez par Khwaja saahab ka bahot bada karam hai aur main is ehsaan ka tahe dil se shukr guzaar hu.’

Altaf Raja

Aap Sabhi Logo Ka Hamare Website Pe Sawagat Hai Yaha Par Aap Motivation Stories , Sayri , Letest Qoutes , Islamic Knowladge , Hindusm Knowladge , Apna Hindustan , Sabhi Prakar Ki Sayri , Etc . Padh Sakte Hai Ummid Hai Aap Logo Ko Hamare Articles Ache Lagte Honge Isko Aap Social Media Pe Share Karke Apne Dosto Ko Jarur Dikhaye.

No comments:

Post a Comment