Aao ghar mere chal key muqaddas Eid ka din hai..
Bhula do sab giley shikwey muqaddas Eid ka din hai..
Khushi ka din hai mat roottho, chalo ab muskura bhi do..
Sabhi ke khil utthey chehrey muqaddas Eid ka din hai..
Hawa badli, fazaa badli, shehr ki har adaa badli..
Lagey haiN har taraf meley muqaddas Eid ka din hai..
Tumhari yaad aayi thi meri aankhoN se jo aaNsoo..
Mere chehrey pe aa dhalkey muqaddas Eid ka din hai..
Ye manzar EidgaahoN ke diloN ko jeet letey haiN..
Sabhi khush haiN galey milkey muqaddas Eid ka din hai..
"HAYAT" aao chalo un'ka bhi istaqbaal kartey haiN..
Tumhare dost jo aaye muqaddas Eid ka din hai...
Happy Eid..
Eid mubarkh
Altaf Raja
Aap Sabhi Logo Ka Hamare Website Pe Sawagat Hai Yaha Par Aap Motivation Stories , Sayri , Letest Qoutes , Islamic Knowladge , Hindusm Knowladge , Apna Hindustan , Sabhi Prakar Ki Sayri , Etc . Padh Sakte Hai Ummid Hai Aap Logo Ko Hamare Articles Ache Lagte Honge Isko Aap Social Media Pe Share Karke Apne Dosto Ko Jarur Dikhaye.
Popular Posts
-
1. Tha B0ht Khush Wo Bhula K Muje, Aj Roya Galey Laga K Muje, Us Ne Pehla Sawal Ye Puchha, Tum Ko Kesa Laga Ganwa K Muje? Mujko Pathar Bana ...
-
.Tohfa-e-dil de doon ya de doon chand taare,Janam din pe tuje kya du ye puche mujhse saareZindagi tere naam kar doon toh bhi kam hain,Daman ...
-
_________________________________________ बद-दुआ नहीं देता 👆🏻तुम्हे— तुम्हे आंसू लगेंगे मेरे...✋🏻! _____________________________________...
-
क्या आप हमारे नबी सल्लल्लाहो अलैही वसल्लम के बारे में जानते है ? __________________ हमारे नबी सल्लल्लाहो अलैही वसल्लम का नाम- हज़रत मोहम्मद ...
-
याद उन्हीं की आती है जिनसे कुछ ताल्लुक़ हो,हर शख्स निगाह-ए-मुहब्बतसे देखा नहीं जाता,.... ______________________________________ "आशिया...
-
कुछ इस तरह से मेरी वो फिकर करता है अनजान बनकर ही सही पर मेरा जिकर करता है उनकी रातो की यादो से थोड़ी मोहलत क्या मिली, सवेरा ही हो गया....!! ...
No comments:
Post a Comment